Ads 468x60px

Friday, May 8, 2009

Just fun

Kash dunya Computer hoti

Kash dunya Computer hoti
Jis mein Do ko Undo karti

Sukh kay lamhay Save ho jatay
Dukh kay lamhay Delet karti

Mazi ki man chahi Windows
Jab chahay mein Open karti

Mustqbil kay tanay banay
Apni chah say kud hi banati

kuwahishon ki hoti File
Jis mein Cut or Copy karti

Jab bhi hota Virus peda
Dunya ko Reformat karti

Kushyon kay ragon say taskin
Phekay lamhay ragen karti

:!:Kash Dunya Computer Hoti:!:



*********************************************************************************************************************************************************


Papu pass ho gaya

Ishq ja school mai naya mahool tayar ho gaya

class ke teacher to papu sa payar ho gaya

is bat sa sari class ka dil udass ho gaya

sari class fail or papu pass ho gaya....

********************************************************************************************************************************************************


********************************************************************************************************************************************************







*******************************************************************************************************************************************************


Lambi Judai New Version

Chaar dino ka vacation ho abba,

Lambi parhai,
Lambi parhai,

Parhne me dil mera lage kabhi na,

Parhne se jan meri jay hamesha,

Kitne zamane baad ho abba,

Bunk lagaya,
Bunk lagaya,

Soya raha me classon me apni,

Teacher se roz roz pitke me aaya,

Kitna pita hon sooj gaya hon,

chalna phirna bhol gaya hon,

4 dino ka vacation ho abba,

lambi parhai
lambi parhai...


********************************************************************************************************************************************************


1 larki ka sachaa piyar

mein chahti hon tum ko iss qadar
koi aur mil jaey tu dekhon naa mur kar

tujh bin zindagi ka tasawar hi nehi hai
tere sang ho zindagi aisa bi koi scene nehi hai

mohabbat hai mujh ko sirf tum sey sanam
sach keh rahi hon mein tumhari qasam

jhot mein agar kahon tu, tu mar jaey
a kash mujh ko shahrukh khan mil jaey

iss dunya mein, tum he sab say haseen ho
mein aur kahon jhot kitna, ke tum ko yaqeen ho

bas tere he sang jo meri zindagi
acha nehi ke mein kar lo khudhkoshi

rooz khawab mein nazar aatay ho tum
kio mujhey neend mein bi daratay ho tum

ab tu tere bin jeena ho gaya hai mushkil
haan ghar ke liye chahiye nokar(servant) mustakil

dekho mujhey hai kitna pyar tum sey, ab tu haan karo
agar ab bi hai inkaar tu yeh letter agay pass karo


*****************************************************************************************************************************************************


Shadi k liye larkiyan hazaaron hain

Shaadi ke liay doston, larkiyan hazaaron hain
Har khirki mein hai larki, aur khirkiyan hazaron hain

Koi to mile gi larki khaandan mein humein
Phuppiyan hain beshumar, chachiyaan hazaaron hain

Likha jo tum ne Love Letter to kiya hua janab
Humari draaz mein is jaisi, chithiyaan hazaaron hain

Aik tumhi nahi akaili, mere jaal mein phansney wali
Is jaal mein tum jaisi, machliyaan hazaaron hain

Diay thay pehle bhi Ishq ke imtehaan bohat
Hathon mein is baar bhi, parchiyaan hazaron hain

Wo Parwaney nahin jo Shama pe mar jaayen gay
Hamare ghar mein pehle hi, battiyaan hazaron hain

Aik ur gayi haath se to kiya ghazab hua
Jaante hain is baagh mein titliyaan hazaaron


*******************************************************************************************************************************************************


Yeh Student Ki pehchan Hai

Yeh Student Ki pehchan Hai
Hath main Cigrette Moo Main pan hai
MaShoor yeh Shaitan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai

Parhna iSey aata naheen
ClaSS kabhi jata naheen
Canteen iS ki jaan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai

JalSon main Sab Se aagey hain
Naron main Sab Se aagey hain
Imtehaan main naqal iS ki aan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai


Larkiyon ke peechey hai Para
Jo larki ghuSSa ho zara
Tab yeh banta Bhai jaan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai....


*******************************************************************************************************************************************************


Funny Shairs

Koi pathar se na maare mere dewaane ko........
Nuclear ka Zamaana hai, bomb se udaa do saale ko.......!!!

Wo Aayi thi meri kabar per, diya bujha kar chali gayi
Baki bacha tha tail (oil), sar per laga kar chali gayi

tumhari saalgirah pe jaana kia bhejoon,
apni jaan bhejoon keh apna dil bhejoon,
phir soochta hoon jaana kion na ,
tumhare liye kee hui shopping ka bill bhejoon

Aahat si koi aye to lagta hai ki tum ho.
Hawa koi lehrayi to lagta hai ki tum ho.
Ab tum hi batao, kya tum kisi BHOOT se kam ho ?

Itna khubsurat kaise muskura lete ho..
itna kaatil kaise sharma lete ho..
kitni aasani se JAAN le lete ho..
kisine sikhaya hai ya,bachpan se hi kamine ho!!

Gum woh cheez hai ...
Gum woh cheez hai ...
jisse paper chipkaya jaata hai .

Tum aa gaye ho, Noor aa gaya hai
Chalo teeno picture chalen.....

Tumsa koi dusara zameen par hua to rab se shikayat hogi....
Aik to jhella nahi jata, dusra aagaya to kya halat hogi!!!

Acha hua ke Mein wafadar Nahi
Acha hua ke Mein wafadar Nahi ,
Wafadar to Kuttey hotey hain

Shaam hote hii ye Dil udaas hota hai
Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai
Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai
Bandar jab koi aas-paas hota hai..

Kya aankheiN hain aapki, kya baatein hain aapki..
us khuda ne kuch aisa aapko bnaya hai...
maano..."Shhh


*******************************************************************************************************************************************************