Ads 468x60px

Thursday, August 6, 2009

tanhai sayari

kisi ne kaha tha k kisi se kuch na kehna
lage chot dil pe to khamosh rahna
jahan chot khana wahain muskurana
magar muskurana es ada se k ro de zamana


jab kabhi dil ko woh yaadon se rehai dega
mere andar koi tufaan sunai dega
usse milte he yeh ehsaas hua tha mujh ko
yahi woh shakhs hai jo lambi judai dega.


duniya badal jayegi tum na badalna
mushkilon main ho jab bhi humain yaad kar lena
maangoon to aap se kiya mangoon.
dena kuch chaho to bas muskura dena.


udas aankhon main raat ka kumar dekha hai
k pehli bar usse beqarar dekha hai
jissay khabar he na hoti thi mere aane ki
us ki ankhon main ab intezar dekha hai.


zindagi to apne qadmon pe chala karti hai Faraz.
auron k sahary janaazy utha karte hain.

tanha tahe es duniya ki bheer main
socha koi nahi meri taqdeer main
ek din aisa hua k tum ne dosti ka hath barhaya
to laga khush khas tha in hathon ki lakeeron main


tanhai mere kaan main kuch kehne lagi hai
ek zaat meri zaat main gum rahne lagi hai
jis aankh ko kisi ne bhi rote nahi dekha
woh aankh teri yaad main num rahne lagi hai.


andaz-e-piyar bhi tera ek ada hai
dur hai tu mujh se ye meri saza hai
dil main basi hai ek piyari si taswir teri,
phir kaise kah doon k tu mujh se juda hai.


koi wada nahi phir bhi tera intezar hai
judai k bawajood bhi tujh se piyar hai
tere chehre ki udasi de rahi hai gawahi
mujh se milne k liye tu bhi bekarar hai.


Dard Ko bhi Ab Dard Hone laga hai,
Dard Khud hi Mere Zakham dhone lagha hai,
Dard ke sath kabhi Roye na hum,
Dard Khud hi Humko chhu kar Rone Laga hai ...

No comments:

Post a Comment