Ads 468x60px

Thursday, September 3, 2009

Sayari for Dosti

apni bebasi par aaj rona aya
dusron ko nahi main ne apno ko aazmaya
har dost ki tanhai dur ki
lekin khudh ko har morh par tanha paya


youn to log badalte hain so woh bhi badal gaya
usse kisi ne meri yaad se ghafil rahna sikha diya
jo kahta tha na rahega mere bin,
usse kisi aur ne jeena sekha diya.

meri zindagi k raaz main ek raaz tum bhi ho
meri bandagi ki pyas main ek pyas tum bhi ho
tum kiya ho kuch ho ya nahi ho
magar meri zindagi k kash main ek kash tum bhi ho


har ek k jazbaat ko zaban nahi milti,
har ek nazar ko dua nahi milti,
muskan banaye rakho to duniya hai saath,
ansoon ko to ankh main bhi pannah nahi milti


ulfat ka askar yahi dastur hota hai
jisse chaho woh he apne se dur hota hai,
dil tot kar bikarta hai is qadar jaise
koi kanch ka khilona chur chur hota hai.


waqat badalta hai zindagi k sath
zindagi badalti hai mohabbat k sath,
mohabbatnahi badalti apno k sath
bas apne badal jate hain waqat k sath

No comments:

Post a Comment